Thursday, February 16, 2012

khuda sa lagta hai ...

jaane kyu ab wo juda sa lagta hai !!!
Paas hai mere , par gumshuda saa lagta hai ...

Samandar samajh baithe the hum rishto ko ,
ab to sab, paani ka budbuda sa lagta hai ...

Hamari aakhon me akks hai unka,
unki aakho me kuch aur, mansuba sa lagta hai ...

Yun hasna kise pasand nahi ?
Par hame ishq me majak, behuda sa lagta hai ...

Ab bewaqt wo neend se jagate nahi hame,
shayad wo kisi aur pe fida sa lagta hai ...

Usne kaha ki , khuda haafiz ,
aur wo hame "Khuda saa lagta hai ..." !!!

safar ...

khus the akele safar me hum,
ki itefaq se ,
ek anjana saathi mil gaya ...

Saath chala wo kuch door aise ,
ki laga,
saara zamana mil gaya ...

Chalte-chalte hua wo meharbaa hum pe kuch is tarah,
jaise pyar se,
koi deewana mil gaya ...

Manzil alag thi hamari, mushkil tha safar hamara ...
Mear itna sa samjhana aur,
use alag hone ka bahana mil gaya ...

Kuch iss tarah chali aandhi raat me ...
Fir se akele rah gaye hum,
or
fir ,
safar veerana mil gaya ...

bata diya hota...


Jaane se pahle apna pata diya hota,
aur ek baar, mera jurm bata diya hota...

Tere haatho se zahar bhi manzoor tha hame,
bas jar aahist-aahista diya hota...

Sang ter jeena aata tha hame ,
bin tere jeena bhi sikha diya hota...

Agar tera hona mahaz ek gumaan tha,
apne alamaato ko bhi mita diya hota...

Mere baag ke phool lauta diye tumne,
unki khusbu ko bhi lauta diya hota...

Teri di har saza kabool hai hame,
in aakho ki nami ko bhi sukha diya hota...

hamne pyar jataya bhi tha ...


Wo mera apna bhi tha,
wo koi paraya bhi tha ...

Shabo-rojo-maaho-saal
kaate uske intazar me ...
aur yun,
wo mear ham-saya bhi tha ...

us chirag si ho gai hai zindagai meri,
usne din me jalaya bhi tha,
raat ko bujhaya bhi tha...

jaane kya naam de use hum,
khuda ya bewafa ?
ehsaas-e-jeest karaya bhi tha,
kafan odhaya bhi tha...

wo naa samjha ishq,
kahte hai kise ...
hamne jise chupaya bhi tha,
jataya bhi tha ... 

nahi dekha ...


Log kahte hai , chaand khubsoorat hai ...
hamne chaand nahi dekha .

raaton ko chiraag jalau kaise ?
arse se saanjh dhalte nahi dekha .

kahte hai mausam ka kya bharosa ?
hamne mausam , badalte nahi dekha .

badi ummedo se baagbaan bane baithe hai...
kabhi phoolon ko mahkte nahi dekha .

jaane kaise samjhega wo mujhko ?
use khud ko samjhte nahi dekha .

sochte hai bhul jaana hi accha hai ...!!!
pyaar me kisi ko haste nahi dekha ...

Thursday, May 19, 2011

meri duaa

mere dil se bas, ab bas yahi sada aae ...
ab jab bhi dua aae , bas tere liye baduaa aaye....

Thursday, November 25, 2010

उजड़ने लगी है महफ़िल , बिखरने लगा है समां ...
अभी तो शाम बाकी है !!!

रुको दोस्त , कहाँ  जाते हों ?
अभी तो मेरे जनाजे का जाम बाकी है !!!

लफ्जे-गुफ्तगू ने पैवस्त किया है खंजर ,
अभी तो मरने का अंजाम बाकी है !!!